FOR URDU POETRY LOVERS... (NOT THE ROMANTIC ONE SORRY)

Jaane kya Mujhse zamana chahta hai ,
mere dil tod kar mujhe hasana chahta hai ,

Jaane kya baat jhalakti he mere chehre se,
har saks mujhe aazmana chahta hai.
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~

Kal rat ur rahe thay 
sitare hawa k sath

Aur main betha tha udas 
apne khuda k sath

Ya to kabooliat ka 
tareeka sikha muje

Ya mere dil ko bandh 
de apni raza k sath!!!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
baat din ki nahi, ab raat se dar lagta hai 
ghar hai kacha mera, barsaat se dar lagta hai 

tere tohfay ne to bas khoon ke aansoo hi diye 
zindagi ab teri saugaat se dar lagta hai 

pyaar ko chor ker tum aur koi baat karo 
ab mujhay pyaar ki har baat se dar lagta hai 

meri khaatir na wo badnaam kahein ho jaain 
iss liye unn ki mulaqaat se dar lagta hai

hijr ki aag me sulgo to bura lagta ha 
tum mere dedar ko tarso to bura lagta hai 
aik tamanna hai faqat mujh per mehrban raho 
tum kisi aur ko dekho to bura lagta hai... 
meri rooh tarsti hai teri khusbu ko..... 
tum kahin aur jo mehko to bura lagta hai 
arzoo hai tere roop ko har pal dekho 
tum mere pas se utho to bura lgta hai... 
main utha sakta ho jab naaz thumhre janaa 
tum kisi aur se rotho to bura lagta hai
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
iss shama faroozan ko aandhi say daraatay hoo.. 
iss shaame-faroozan kay parwaanay hazaron hien... 
ikk hum he may k aankhon say pillatay hien.. 
kehnay ko tu iss shehar mien maykhanay hazaroon hein.. 
.... innn aankhon kee masti k mastanay hazaaaron hein.....
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
LOV THIS ONE ...PEHLI MOHABAT HAI 

Zara dhehaan rakhna 
Ye meri pehli muhabbat hai 
Wafa ka maan rakhna 
Ye meri pehli muhabbat hai 
Kahan es umer main hum bhes badlain gain faqeron ka 
Milan asaan rakhna 
Ye meri pehli muhabbat hai 
Judai k dino main loog chehray bhool jatay hain 
Meri pehchaan rakhna 
Ye meri pehli muhabbat hai
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
beniyaaz-e-Gam-e-paimaan-e-vafaa ho jaanaa 
tum bhi aur.n ki tarah mujh se judaa ho jaanaa 

main bhi palakon pe sajaa loongaa lahuu kii boondain 
tum bhi paabastaa-e-zanjiir-e-hiinaa ho jaanaa 

Khalq ki sang_zani meri Khataaon kaa silaa 
tum to maasuum ho tum duur zaraa ho jaanaa 

ab mere vaaste tariyaq hai ilhaad kaa zahar 
tum kisii aur pujaarii ke Khudaa ho jaanaa 

"Ahmed Faraz"
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
piyar karta hai wo yun jaisy sazadaita hai

jab hansi aye labon pey wo rulaa daita hai

kabhi seeny sey laga laita hai

tehreer meri kabhi jhutla k wo kaghazko jala daita hai

kabhi wo dil se laga laita haitasveer meri

kabhi bar'haam ho to har naksh mita daita hai

kune dikhaty ho zamany ko har choot

apni ye zamana hi to zakhmo ko hawa daita hai

tordh de ehd-e-wafa bhool ja mohabbat ko

kon is duniya mein wafa ka sila daita hai

~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~

Comments

Popular posts from this blog

#Appreciate - Lets buck up those who were never been elevated!

International Womens Day #internationalwomensday2020 #internationalwomensday #aneelarshadali #mentoringprogram #linkedinnetwork #learningculture #knowledgesharing #development #womenempowerment #guestspeaker #makinganimpact #islamandwomen